Thursday, March 21, 2013


  1.  HISTORY BEHIND WORD SCOG  .           [ a new world basis on reality]

 aaj me ek aise world ke bare me bat  kar raha hu jise sunte hi aap sab chonk jayenge par mera udesya  kisiko chokana nahi hai mein toh aane wali new generation ko aagah karna chahata hoon ki kabhi apne jivan me mere jaise samay ke fando me ulajkar apne aap ko aise daldal mein matt dhakelna jisse tum na toh present ke bare mein soch sako na apne future ke.      

date:-15/03/2006

        yeh din meri jindagi ka bahut ahem din tha ar sabse khaufnak bhi kyonki yeh din meri apne aap se ladai  ka pehla din tha. mein iss din se pehle ek sadharan insaan tha par iss din ne muje sadharan se kuch power ke sath ek naye insan ke roop me peda kiya.    me padhai mein hausiar tha kyonki family pressure se ache ache  hausiar ho jatte hai. maine toh apne aap se wada kiya tha ki in baton ka jikra apne aap se kabhi spne mein bhi nahein karunga par phir khayal aaya ki aajkal ki new generation ke bacche bade advance hote hai. kahin iss advance technology ke sath yeh koi badi galatfammy toh  nahin paal rahein hai. pariwartano se paripurn  ek avstha  sweet  13 .isme insan se prakerti khein ahem hisab kitab karti hai jisse har insan ko apne iss duniya mein rehne ka woh sakt se sakt  mulya chukana pad sakta jisse woh apne najro mein upe uth sake  par sadharan bacche ya woh bachhe jinko sansaar se phursat nahein milti un bachho ko ye batte samj me nahein aayegi . kyuki unhe apne aap ke liye hi time nahein hai. phir bhi mein unhe woh sab kuch batana chahata hoon jinse unhe apne aane wali jindagi mein sahna padega muje nahien pta ki mere jaise bhi iss duniya mein honge par jahe kahe hai agar mere likhe iss blog ko padhenge toh  sambhal jayenge kyoki unhe nahein pta ki unki jindagi mein sunami ki tarah bin bulaye kaisa tufan aayege jo woh sab kuch khatm kar dega par chita ki koi batt nahi kyonki aapse pehle iss sunami ko aaphi ke ek bhai ne seh liya hai kyonki prakrati ne muje issi kaam ke layak chuna tha .  hum sochte hai ki  'jab hum mansik roop se kamjoor hote hai toh yeh vichar krte hai ki agar apne samne koi aaise kathinai aa jaye jiska samna hum nahe kar sakte toh kabhi gabrana nahe chaiye kyoki jab hum uss musibat ka samna nahi kar sakne ki halat me prakrati hume uss   musibat se ladne ar uss kam me vijayi hone tak ki energy deti hai agar humne apni energy ko prakrati ko soonpkar kar apna jivan nirwah kiya toh. uss samay hume kuch kathinaiyo ka samna krna padega parntu un kathinaiyo se hum jujne mein hum samarth honge.